Film Vanvaas Anil Sharma ke Direction me bana Yeh film mata-pita ke parityaag, emotions aur aatma-sudhar jaise mahatvapurn vishayon par aadharit hai.
Story
Film ki Story Dipak Tyagi (Nana Patekar) ka Vimla Sadan Nam ka ak Ghar hai aur unki wife ka sargwash ho chuka hai. Jinhe wo Bhahut Prem Karte Hai aur unke 3 ladke (Son) hai . aur Dipak Tyagi apane ghar Vimla Sadan ko Trasht me Dena Chahate hai jisse unke Ladke Bhadke hai. Unko dementia ki Bimari bhi hai jisse wo khuch bhul Jate Hai . aur unse Chhutkara Pane ke liye unhe Banarash me Chod aate hai aur unse mulakat Viru (utkarsh sharma) se hoti hai jo wo chhote-mote Chhor hote hai. donon ke beech me ek anokha rishta banata hai, jo unakee jindagiyon ko badal deta hai.
Nishkarsh
“Vanvaas” ek aisi film hai, jo mahatvapurn samajik muddon ko uthane ki koshish karti hai. Nana Patekar ka shandaar pradarshan ise khaas banata hai, lekin film ki lambai aur bhavukta ki adhikta ise thoda kamzor kar deti hai. Agar aap sanvedansheel kahaniyon ke shaukeen hain, to yeh film aapko pasand aa sakti hai.
Starcast: Starring: Nana Patekar, Kushboo Sundar, Utkarsh Sharma, Simratt Kaur & Rajpal Yadav
Written by – Anil Sharma, Sunil Sirvaiya & Amjad Ali
Producer – Suman Sharma, Co-Producers – Kamlesh Kanungo, Gaurav Agrawal, Rohit Choudhary & Jawahar Lal